www.hariprasanth.com

A Milestone
Home
Ghazal

A Milestone
 
 
1.   milkar juda huye tho na soya karenge hum
     ek doosre ke yaad meiN roya karenge hum
     aaNsoo chalak chalak ke sathaayenge raath bhar
     moti palak palak meiN piroyaa karenge hum
     jab dooriyoN ki yaad diloN ko jalaayegi
     jismoN ko chaandni meiN bhigoya karenge hum
     gar de gaya daga hameN toofan bhi 'qateel'
     sahil pe kashtiyoN ko doobOya karenge hum
 
 
2.   yeh mojeza bhi mohabbat kabhi dikhaaye muJhe
     ke sang tuJhpe gire aur zakhm aaye muJhe
     wo meharbaaN hai tho ikraar kyooN nahiN kartha
     wo badgumaaN hai tho sau baar aazmaaye muJhe
     wo mera dost hai saare jahaaN ko hai maaloom
     daga kare wo kisi se tho sharm aaye muJhe
     maiN apni zaat meiN neelam ho raha hooN 'qateel'
     gham-e-hayaat se keh do khareed laaye muJhe

 
3.   dil ko gham-e-hayaat gaNwaara hai in diNo
     pehle jo dard tha wahi chaara hai in diNo
     ye dil zara sa dil teri yaadoN meiN kho gaya
     zaRRe ko aandhiYon ka sahara hai in diNo
     tum aa sako to shab ko baDha dooN kuch aur bhi
     apne kahe meiN subhO ka taara hai in diNo
 
 
4.   apne haathoN kee lakiroN meiN basa le muJhko
     main hooN tera to naseeb apna bana le muJhko
     muJhse too poochne aaya hai wafa ke maani
     ye teri saadaa-dili maar na Daale muJhko
  
     khud ko maiN baaNt na DaalooN kahiN daaman-daaman
     kar diya tune agar mere hawaale muJhko
     waada fir waada hai maiN zehar bhi pee jaaooN 'qateel'
     shaRt ye hai koi baahoN meiN sambhaale muJhko
 
 
5.   pareshaaN raat saari haiN sitaroN tum to so jaaO
     sukut-e-marG taari hai sitroN tum to so jaaO
     tumHe kya aaj bhi koi agar milne nahiN aaya
     ye baazi humne haari hai sitaroN tum to so jaaO
     kahe jaate ho ro-roke hamara haal duniya se
     ye kaisi raazdaari hai sitaroN tum to so jaaO
 
 
6.   angDai par angDai leti hai raat judaaee kee
     tum kya samJho tum kya jaaNo baat meri tanhaayee kee
     kaun siyahi ghol raha tha waqt ke behte dariya meiN
     maiNe aaNkh jhuki dekhi hai aaj kisi harjee kee
     wasl ki raat na jaane kyoon israar tha unko jaane par
     waqt se pehle dhooB gaye taaroN ne baDi daanaee kee
     uDte uDte aas ka paNchi door ufaq mein dooB gaya
     rote rote baith gayee awaaz kisi saudaaee kee
 
 
7.   sadma hai muJhe bhi ke tuJhse juda hooN maiN
     lekin ye soNchtaa hooN ke ab tera kyaa hooN maiN
     biKhraa paDa hai tere hi ghar meiN tera wajood
     bekaar meHfiloN meiN tuJhe dhoonDtaa hooN maiN
     naa jaane kis adaa se liya toone mera naam
     duniya samaJh rahee hai ke sab kuCh tera hooN maiN
     le mere tajurboN se sabaK ae mere raqeeB
     do chaar saal umR meiN tuJhse baDa hooN maiN
 
 
8.   tumhare anjuman se uthke diwane kahaaN jaate
     junba basta huye hamse wo ab sare kahaaN jaate
     tumhari berukhi ne laaj rakh li waada-faan-e ki
     tum aaNkhoN se pila dete to paimane kahaaN jaate
     chalo achchha hua kaam aa gayi diwaangi apni
     warna ham zamaane bhar ko samjhaane kahaaN jaate
 
 
9.   pehle to apne dil ki raza jaan jayeeye
     fir jo nigah-e-yaar kahe maan jayeeye
     pehle mijaaz raah guzar jaan jayeeye
     fir kard-e-raah jo bhi kahe maan jaayeye
     kuchh keh rahi hai aapke seene ki dhadkane
     mera nahi to dil ka kaha maan jayeeye
     ik dhoop si jami hai nigaahoN ke aas paas
     ye aap haiN to aap pe kurbaan jayeeye
     shayad huzoor se koi nisbat hame bhi ho
     aaNkhO me jhaank kar hame pehchaan jayeeye
 
 
10.  pareshaaN raat saari haiN sitaroN tum to so jaao
     sukut-e-marG taari hai sitroN tum to so jaao
     hame to aaj ki shab poh faTe tak jaagna hoga
     yahi kismat hamari hai sitaroN tum to so jaao
     hame bhi neend aa jayegi hum bhi so hi jayenge
     abhi kuchh bekarari hai sitaroN tum to so jaao
     
      Lyrics : Qateel Shifai
      Music  : Jagjit Singh
      Voices : Jagjit Singh
               Chitra Singh

Chitra and Jagjit Singh