www.hariprasanth.com

A Sound Affair
Home
Ghazal

A Sound Affair
 

1.   ae khuda ret ke sehra ko samandar kar de
     ya chhalakti aanKhoN ko bhi patthar kar de
     tuJhko dekha nahiN mehsoos kiya hai maine
     aa kisi din mere ehsaas ka paikar kar de
     aur kuch bhi muJhe darkaar nahiN hai lekin
     meri chaadar mere pairoN ke baraabar kar de

 
2.   Ye to nahiN ke gam nahiN
     haaN meri aaNkh nam nahiN
     tum bhi to tum nahiN ho aaj
     hum bhi to aaj hum nahiN
     ab na khushi kee hai khushi
     gam ka bhi ab to gam nahiN
     maut agar che-maut hai
     maut se zeest kam nahiN

 
3.   kabhi guncha kabhi shola kabhi shabnam kee tarah
     log milte haiN badalte huye mausam kee tarah
     mere mehboob mere pyaar ko ilzaam na de
     hiJr meiN eed manaayee hai moharrum ki tarah
     maine khushboo kee tarah tuJhko kiya hai mehsoos
     dil ne chheDa hai teri yaad ko shabnam ki tarah
      kaise ham-dard ho tum kaisee masihaayee hai
     dil pe nashtar bhi lagaate ho to marham ki tarah
 
4.   socha nahiN achcha bura dekha suna kuch bhi nahiN
     maanga khuda se raat din tere siwa kuch bhi nahiN
     dekha tuJhe socha tuJhe chaaha tuJhe pooja tuJhe
     meri khata meri wafa teri khata kuch bhi nahiN
     jispar hamari aaNkh ne moti bichchaaye raat bhar
     bheja wohi kaagaz tuJhe humne likha kuch bhi nahiN
     ek shaam ki dahleez par baithe rahe wo der taq
     aankhoN se kee baateN bahot humne kaha kuch bhi nahiN

 
5.   kabhi to khul ke baras ab ke meherbaaN ki taraH
     mera wazood hai jalte huye makaN kee taraH
     main ik khwaab sahee aapki amaanat hooN
     muJhe sambhaaL ke rakhiyegaa jism-o-jaaN ki taraH
     kabhi to soch ke wo saKsh kis kadar tha buland
     jo bichh gaya tere kadmoN meiN aasmaaN ki taraH
     bula rahaa hai muJhe fir kisi badan ka basanth
     guzar na jaaye ye ruth bhi kahiN khizaaN ki taraH

 
6.   jinko duniyaN kee nigaaHoN se chupaaye rakha
     jinko ik umR kaleje se lagaaye rakha
     din jinko, jinHe eemaan banaaye rakha
     tune duniyaN kee nigaaHoN se jo bachkar likhe
     salha-saal mere naam baraabar likhe
     kabhi din meiN to kabhi raat meiN uThkar likhe
     pyaar meiN dooBe huye khat maiN jalaata kaise
     tere haathoN ke likhe khat maiN jalaata kaise
     tere khat aaj maiN ganga meiN baha aaya hooN
     aag jalte huye paaNi meiN laga aaya hooN.
 
7.   aaNkh se aaNkh milaa, baat banaata kyooN hai
     tu agar muJhse khafa hai to chupaata kyooN hai
     gair lagta hai hai na apnO ki taraH miltaa hai
     tu zamaane kee taraH muJhko sataata kyooN hai
     waqt ke saath haalaat badal jaate haiN
     ye haqeeqat hai magar muJhko sunaata kyooN hai
     ek muddat se jahaN kaafile gujre hi nahiN
     aisi raahoN pe charaagoN ko jalaata kyooN hai

 
8.   manzil na de charaag na de hauslaa to de
     tinke ka hi sahee tu magar aasraa to de
     maiNe ye kab kaha ke mere haq meiN ho jawaab
     lekin khamosh kyooN hai tu koi faislaa to de
     barsoN maiN tere naam pe khaata raha fareb
     mere khuda kahaN hai tu apna pata to de
     beshaq mere naseeb pe rakh apnaa ikhtiyaar
     lekin mere naseeb meiN kya hai bata to de

      Lyrics : Shahid Meer        (1)
               Firaq Gorakhpuri  (2)
               Rana Sahri         (3 & 8)
               Bashir Badr        (4)
               Prem Warbartni     (5)
               Rajendranath Rahbar(6)
               Saeed Rahi         (7)
      Music  : Jagjit Singh
      Voices : Jagjit Singh
                   Chitra Singh

Chitra and Jagjit Singh