www.hariprasanth.com

Beyond Time
Home
Ghazal

Beyond Time
 

1.   apni aankho ke samundar meiN utar jaane de
     tera mujrim hoon mujhe doob ke mar jaane de
     ay nayey dosth maiN samjhoonga tujhe bhee apna
     pehle maazi ka koi zakhm to bhar jaane de
     aag duniya ki lagayee hui bhuj jayeygee
     koi aansoo mere daaman pe bikhar jaane de
     zakhm kitne teri chaahat se mile haiN mujko
     soNchtaa hoon ki kahoon tujhse magar jaane de
 
2.   neend se aankh khuli hai abhi dekha kya hai
     dekh lena abhi kuch der meiN duniya kya hai
     baandh rakha hai kisee sonch ne ghar say humko
     Varna apna dar-o-deewar se rishta kya hai
     ret ki eenT ki pathar ki hooN ya miTTi ki
     kisi deewar ke saye ka barosa kya hai
     apni daanist me samjhay koi duniya `Shahid'
     warna hathoN meiN lakiroN ke ilaawa kya hai
 
3.   apni aag ko zinda rakhna kitna mushkil hai
     patthar beech aaeeena rakhna kitna mushkil hai
     kitna aasaaN hai tasveer banaana auroN kee
     khud ko pase-aaeenaa rakhna kitna mushkil hai
     tumne mandir dekhe honge ye mera aangan hai
     ek diya bhee jalta rakhna kitna mushkil hai
     chullu meiN ho dard ka dariya dhyaan meiN uske hoNTh
     yuN bhee khud ko pyaasa rakhna kitna mushkil hai
 
4.   Lab-e-khaamosh se izhaar-e-tamanna chaahe
     baat karne ko bhee tasveer ka lehJa chaahe
     tu chale saath to aahaT bhee na aaye apni
     dar meiN aahan bhee na ho yuN tuJhe tanha chaahe
     khwaab meiN roye to ehsaas ho sairaaBi ka
     ret par soYeN magar aankh meiN dariya chaahe
 
     aise tairaaq bhee dekhe haiN 'muzaffar' humne
     gharq hone ke liye bhee jo sahara chaahe
 
5.   log har mod pe ruk ruk ke sambhalte kyoon haiN
     itna dartay hain to phir ghar say nikaltay kyoon haiN
     main na jugnu hoon diya hoon na koi tara hoon
     roshni vaalay meray naam say jaltay kyoon haiN
     neend se mera taaluq hi nahin barso sein
     khawab aa aa kay meri chhat pay tehltay kyoon haiN
     mod hotaa hai jawaani ka sambhalne kay liye
     aur sab log yahin aa kay fisaltay kyoon haiN
    

6.   mera dil bhi shauk say todo ek tajurba aur sahee
     lakh khilonay tod chukay ho ek khilona aur sahee
     raat hai gham ki aaj bhuja do jalta hua har ek chirag
     dil mein andhera ho hi chuka hai ghar mein andhera aur sahee
     dam hai niklta ik aashiq ka bheed hai aa kar dekh to lo
     lakh tamashay dekhay hongay ek nazaara aur sahee
     khanjar ley kar saunchtay kya ho qatl `Murad' bhi kar daalo
     daag hain sau daaman pe tumharay ek izaafa aur sahee
 
7.   jhoothi sachchi aas pay jeena kab tak aakhir aakhir kab tak
     mai ki jagah khoon-e-dil peena kab tak aakhir aakhir kab tak
     saucha hai ab paar utraingay ya Takra kar doob marenge
     toofanoN ki zad pay safeena kab tak aakhir aakhir kab tak
     ek maheene ke waade par saal guzaara phir bhi na aaye
     waade ka yeh ek maheena kab tak aakhir aakhir kab tak
     saamnay duniya bhar ke gham hain aur idhar ik tanha hum hain
     sainkDo pathar ik aaiana kab tak aakhir aakhir kab tak
 
8.   saare badan ka khoon paseene meiN jal gaya
     itna chale ke jiSm hamara piGhal gaya
     chalthehi gin rahe the' museebat ke raat din
     dam lene hum jo baith gaye dam nikal gaya
    
     achha hua jo raah meiN Thokar lagee humeN
     hum gir paDe to saara jamaana sambhal gaya
     wehshat meiN koi saath humara na de saka
     daaman ke fiKr kee to garebaaN nikal gaya
 
9.   saamne hai jo usey log bura kehte haiN
     jisko dekha hee nahi usko khuda kehte haiN
     zindagi ko bhee sila kehte haiN kehne waale
     jeene waale to gunaahoN kee saza kehte haiN
    
     faasile umR ke kuch aur badha deti hai
     jaaney kyoon log use phir bhee dawa kehte haiN
     chand masoom se pattoN ka lahoo hai `Fakir'
     jisko mehboob ke haathoN ki hina kehte haiN
 
10.  ye kareN aur wo kareN aisa kareN waisa kareN
     zindagi do din ki hai do din mein hum kya kya kareN
     jee meiN aaata hai ki deiN parde se parde ka jawaab
     hum se wo parda kareN duniyaa se hum parda kareN
     sun raha hoon kuch luTere aa gayey haiN shehar meiN
     aap jaldi bandh apne ghar ka darwazaa kareN
     is puraani be-wafa duniya ka rona kab talak
     aaiyey mil-jul ke ik duniya nayee paida kareN
 
11.  jahan jahan mujhe sehra dikhayee deta hai
     meri tarah se akela dikhayee deta hai
     yeh ek abR ka tukDa kahan kahan barse
     tamam dasht hi pyaasa dikhayee deta hai
     yeh kis maqaam pe laayee hai justjoo teri
     jahan se arsh bhi nicha dikhayee deta hai
 
12.  shaayad aa jaayega saaqi ko taras ab ke baras
     mil na paya hai un aankhon ka bhi ras ab ke baras
     aisi chaayi thi kahan gham ki ghatayeN pehle
     haan mere deedar tar khoob baras ab ke baras
     oof wo un umad bhari aankhon ke chlakthe huye jaam
     badh gayi aur bhi peene ki hawas ab ke baras
     pehle ye kab tha ki wo mere hain main unka hoon
     unki yaadon ne sataya hai tho bas ab ke baras
 
      Lyrics : Nazir Bakri      (1)
               Shahid Kabir     (2)
               Ishrat Afreen    (3)
               Muzaffar Warsi   (4)
               Rahat Indori     (5)
               Murad Lucknowi   (6)
               Kashif Indori    (7)
               Mohammad Durrani (8)
               Sudarshan Faakir (9)
               Nazir Banarsi    (10)
               Shakeb Jalali    (11)
      Music  : Jagjit Singh
      Voices : Jagjit Singh
                   Chitra Singh
  
      Note   : not on CD (11, 12)

Chitra and Jagjit Singh