www.hariprasanth.com

Passion
Home
Ghazal

Passion / Black Magic


1.     pathaR ke kHuda, pathar ke sanam
       pathaR ke hi insaaN paayeN haiN
       tum sehre-e-mohabbat kehte Ho
       Hum jaaN bachcha-kar aayeN haiN

       but-khaaNa samajhte Ho jisko
       puchcho na wahan kyaa haalat hai
       Hum loG wahin se lauTe haiN
       bas shukr karO lauT aaye haiN

       Hum sonch raHeN haiN muddat se
       ab umR guzaareN bhi to kaHaN
       sehra meiN khusHi ke Phool nahiN
       shehroN meiN gamon ke Saaye haiN

       hoThoN pe tabassuM halqa sa
       aankhoN meiN nami si a'e Faaqir
       Hum aehle-e-mohabbat par aksar
       aise bhi zamaaNe  aaye haiN
      

 

2.     jaB bHi tanhaaYee se ghabraaKe simaT jaate haiN
       Hum teri yaaD ke daaman se lipaT jaate haiN

       unpe thoofaN ko bhi afSoS hua karta hai
       wo safine jo kinaroN pe ulaT jaate haiN
 
       Hum to aaye the' raheN saaKh meiN phooloN ki tarah
       tum agar haar samajhte ho to haT jaate haiN

 

3.     jaWaani ke heele, haya ke baHaane
       Ye maana ke tum mujhse parda karOgi
       Ye duniyaN magar tuJhsee bHolee nahiN hai
       chupaake mohabbat ko rusWa karogee

       baDi koshishoN se, baDi kHwaahishoN se
       taMaNNa ke seHmi hui saaJishoN se
       mileGa jo mauka to be-chain hokar
       darichoN se tum mujhko dekha kaRoGi

       sataayeGi jaB chaandni ki udaasi
       duKhaayeGi dil jab fiZaa ki khamosHi
       ufaQ ki taraH khaali nazareN jamaakar
       kabHi jo na socha wo socha karoGi

       kabhi dil ki dhaDkan mehsoos hoGi
       kabhi thanDi saaSoN ki thooFaaN uTheGi
       kabhi Gir ke bishtar pe aaHeN bharoGi
       kabhi jHuK ke takiye pe roYa karogi

 

4.     Ye kya JaaNe mein Jaana hai, jaate ho khafaa hoKaR
       Main jab jaanooN, mere dil se chale-jaao juda hoKaR

       qayaamat taak uDegi dil se uThkar khaaq aankhoN taq
       isee raste gaya hai hasratoN ka kaafila hoKaR
  
       tumHi ab dard-e-dil ke naaM se ghaBraaYe jaate ho
       tumHi to dil meiN shaayad Aaye the' dard-e-aashiYaN hoKaR
     
       yooNhi hamdam ghaDi bhar ko mila karte tho behtaR tha
       ke dono waqt jaise roz milte haiN juda hoKaR
     


   
5.    maiN pilaakaR aapka kya jaaYeGa
      jaaYega eemaaN jiska jaaYeGa 
     
      dekHkar mujhKo wo sharmaa jaaYeGa
      Ye tamaasHa kis-se dekha jaaYeGa

      jaaooN buth-khaane se kyoon kaabe ko maiN
      haaTh se ye bhi Thikaana jaaYeGa

      qaTl ki jab usne di dhamKi mujHe
      keH diya maiNe bhi deKha jaaYeGa

      pee bhi le do ghooNt zaahiD pee bhi le
      maiqade se kaun pyaasa jaaYeGa

 

 

6.   hai ikhtiyaar mein tere to mauJ sa kar de
     wo shakhs mera nahiN hai usse mera kar de

     mere kHizaN kahiN kahtM hi nahiN hota
     zara see door ro rasta hara bhara kar de
 
     maiN uske shor ko dekhooN wo mera sab ....
     muJhe charag bana de usse haWa kar de

     aKeli shaam bahut hi udaaS karti hai
     kisiko bHeJ, koi mera hum-nawa kar de

 

7.   Ye bhi Kya ehsaaN kam hai dekhiye na aap ka
     ho raha hai har taraF charcha humara aap ka

     chaanD meiN to daaG hai par aape mein wo bhi nahiN
     chaudHwi ke chaanD se baDhke hai chechra aap ka
    
     isHq meiN aise bhi hum dooBe huye haiN aap-ke
     apne chechRe pe sada hota hai dhoKha aap ka
 
     chaanD-suraJ, dhoop-subaHah, keh-kasHa taare-shama
     haR ujaale ne churaaYa hai uJaala aap ka

 

8.   agar hum kaheN aur wo mushkura deiN
     Hum unke liye zindgaaNi luTa deiN
   
     har ik mod par Hum gamoN ko sazaa deiN
     chalO zindaGi ko mohabbat bana deiN

     aGar khud ko bhoole to kuch bhi na bhoole
     ke chaahat meiN unkee khuda ko bhula deiN

     kabHi gam kee aandhee jinHeN choo na paaye
     wafa ke Hum wo nashe-Man bana deiN

     qayaamat ke deewaane kehte haiN humse
     chalO unke chehRe se parda haTa deiN
  
     saza de silaa de, bana de miTaa de
     maGar wo koi fiaslaa to sunaa de

 


      Lyrics : Sudarshan Faakir (1, 2 and 8)
               Prem Varbatni    (3)
               Seemab Akbrabadi (4)
               Bekhud           (5)
               Rana Sahri       (6)
               Wajida Tabassum  (7)
                   
      Music  : Jagjit Singh
      Voices : Jagjit Singh
                   Chitra Singh

Chitra and Jagjit Singh