www.hariprasanth.com

Someone Somewhere
Home
Ghazal

Someone Somewhere
 
 Introduction

     We dedicate this ablum to the ever loving  memories of our
     only son  Vivek, who left us forever, at the age of 18, on
     the 28th of July 1990.
     When  Vivek was  born, he  filled  our lives  with joy and
     music.  Baboo, as we  fondly  called him, gave  us all the
     success that we have had eversince he came into our lives.
     Baboo, right from his infancy, had a tremendous talent for
     music. His passion was for rhythm and currently he used to
     play the drums beautifully.
     Baboo has always  influenced our music with his astute and
     invaluable suggestions and constructive criticism. We were
     half way through recording these songs for a double ablum,
     when  Baboo left  us so  suddenly. These  are a few of the
     songs we had managed to complete earlier. We don't know if
     these would have met with his approval.
                                     -Jagjit Singh Chitra Singh
 

1.   din guzar gaya, ai'thbaar meiN
     raat kat gayI intezaar meiN
     wo maza kahaN basLe yaat meiN
     lutF jo milaa intezaar meiN
     Unki ik nazar kaam kar gaYi
     hosh ab kahaN hoshiyar meiN
     mere kabze meiN aaiyeena to hai
     maiN hooN aapke ikhtiyaar meiN
     aanKh to uthee phool ki taraF
     dil ulaZh gaya husn-haar meiN
     tumse kya kaheN, kitne Gam saheN
     hamNe be-wafa tere pyaar meiN
     fikR-e-aashiyaan har khizaam ki
     aashiYaan jalaa har bahaar meiN
     kis taraH Ye Gham bhool jaaYe hum
     wo juDa hua ishtihaar meiN
 

2.   meRi zindagi kisi aur ki, mere naaM ka koi auR hai
     mera naqsh hai sar-e-aayina, pase aayina koi auR hai
 
     meri dhaDkanoN meiN hai chaapsi, ye judaaee bhi hai milaapsee
     muJhe kya patha, mere dil batha, mere saath kya koi auR hai
     na gaYe diNo ko kHabar meri, na shareeke haal nazar teri
     tere desh meiN, mere bhesH mein, koi auR tha, koi auR hai
     wo meRi taraF niGraan rahe, mera dhyaan jaaNe kahaN rahe
     meri aanKh meiN kai soorateN, mujhe chaahta koi auR hai
 

3.   ab ke barsaat ki ruTh aur bHi bHadkili hai
     jisHm se aaG nikalti hai, kaBaN gili hai
     sonchta hooN ke ab anjaam-e-safar kya hoGa
     log bhi kaanch ke haiN, raaH bhi pathrili hai
     pehLe rag-rag se meri kHoon nicHoDa us'sne
     ab Ye kehtha hai ke rangat hi meri peelee hai
     muJhko be-rang hi na karde kahiN rang itNe
     sabz mausam hai, hawa surkh, fizaaN gili hai
 
 
4.   faasila to hai magar, koi faasila nahiN
     muJhse tum juDa sahi, dil se to juDa nahiN
     aasmaaN ki fiqR kya, aasmaaN khafaa sahee
     aap Ye bataaye'e aap to khafa nahiN
     kashTiyaaN nahiN to kya, hausle to paaS haiN
     keh do na-khudaaoN se, tum koi khuDa nahiN
     lijiye bula liya, aapko khayaaloN meiN
     ab to dekhiYe hameN, koi dekhTa nahiN
     aaeeye charaaG-e-dil, aaj hi jalaaYeN hum
     kaisi kal hawa chali, koi jaanta nahiN
 
5.   aadmi aadmi ko kya degaa
     jo bhi dega woHi khuDa dega
     meRa qaatil hi mera munsib hai
     kya mere haq meiN faisLa dega
     zindagI ko kareeb se dekho
     iska chehRa tumhe rulaa dega
     hamse pucho dosthi ka silaa
     dushmanOn ka bhi dil hilaa dega
     ishq ka zehar pee liya 'Faakir'
     ab maseeha bhi kya dawa dega
 
6.   mere dukh ki koi dawa na karO
     muJhko muJhse abhi juda na karO
   
     na-khuda ko khuda kaha hai to fir
     doob jaao khuda-khuda na karO
     Ye siKhaya hai dosthi ne hame
     dosth bankar kabhi wafa na karO
   
     ishq hai ishq Ye mazaq nahiN
     chanD lamhoN meiN faishlaa na karO
     aashiqi ho ke bandagi 'Faakir'
     be-dili se to ye fida na karO
    
 
7.   koi samJhega kya raz-e-gulshan
     jab taq ulJhe na kaanTon se daamaN
     yaq-ba-yaq saamne aana jaana
     ruk na jaaye kahin dil ki dhaDkan
     gul to gul-zaar taq chun liye haiN
     fir bhi kHaali hai khurchi ka daamaN
  
     kitni aara'ishYen aashiyaana
     TooT jaaye na nasha fir nashe meiN
     HashmateN aashiyaana baNa dee
     barF ko dosth samjhooN ke dushmaN
 

8.   dekHa to mera saaya bhi mujhse juda mila
     socha to har kisi se mera sil-sila mila
   
     sehar-e-wafa meiN ab kise ehl'-e-wafa kaheN
     humse gale mila to wo hi be-wafa mila
 
     furshaT kise thi jo meri haalaath poochchta
     har shakhs apne baare meiN kuch sonchtha mila
     ussne to khair apno se moda that mooh haya
     maiNe ye kya kiya ke maiN gairoN se jaa mila
   

     Lyrics : Fayyaz Ahmed Fayyaz and Fana Nizami (1)
              Muzaffar Warsi                      (2 and 3)
              Shamim Karhani                      (4)
              Sudarshan Faakir                    (5 and 6)
              Fana Nizami                         (7)
              Ayaz Jhansvi                        (8)
 
     Music  : Jagjit Singh
     Voices : Jagjit Singh
                  Chitra Singh

Chitra and Jagjit Singh