www.hariprasanth.com

Sajda One and Two
Home
Ghazal

Sajda
Volume I

1.   dard se mera daaman bharde ya allah
     phir chahe deewana karde ya allah
     maine tuJh se chaand sitaare kab maange
     roshan dil bedaar nazar de ya allah
     suraj si ek cheez to hum sab dekh chuke
     sachmuch ki ab koi saher de ya allah
     ya dharti ke zakhmon par marham rakhde
     ya mera dil patthar kar de ya allah
 
 
2.   tuJhse milne ki saza denge tere shehar ke log
     ye wafaoN ka sila denge tere shehar ke log
     kya khabar thee tere milne pe qayamat hogi
     muJhko deewaana bana denge tere shehar ke log
     teri nazaroN se giraane ke liye jaane-haya
     muJhko mujrim bhi bana denge tere shehar ke log
     kehke deewana muJhe maar rahe haiN patthar
     aur kya iske siwa denge tere shehar ke log
 

3.   gham ka khazana tera bhi hai mera bhi
     ye nazraana tera bhi hai mera bhi
     apne gam ko geet bana kar gaa lena
     raag purana tera bhi hai mera bhi
     tu muJhko aur maiN tuJhko samJhaaooN kya
     dil deewana tera bhi hai mera bhi
     shehar meiN galiYoN galiYoN jiska charcha hai
     wo afsaana tera bhi hai mera bhi
     maikhaane kee baat na kar waaiz muJhse
     aana-jaana tera bhi hai mera bhi
 

4.   kisko qaatil maiN kahooN kisko maseehaa samaJhooN
     sab yahaaN dost hee baiThe haiN kise kyA samaJhooN
     wo bhI kyA din the ke har vaham yakeeN hotA tha
     ab haqeekat nazar aaye to use kyA samaJhooN
     dil jo TooTaa to kaI haath duaa ko uTThe
     aise mAhaul meiN ab kis'ko paraayaa samaJhooN
     zulm ye hai ke hai yaqtaa terI begAnaaravee
     lutf ye hai ke maiN ab tak tujhe apanA samaJhooN
 
 

5.   dil meiN ab dard-e-mohabbat ke siwa kuch bhi nahiN
     zindagi meri ibaadat ke siva kuch bhi nahiN
     maiN teri baargah-e-naaz mein kya pesh karoon
     meri Jholi meiN mohabbat ke siwa kuch bhi nahiN
     aye khuda muJh se na le mere gunaahoN ka hisaab
     mere paas ashq-e-nadamat ke siwa kuch bhi nahiN
     woh to miT kar muJhe mil hi gayee rahat waRna
     zindagi ranj-o-museebat ke siwa kuch bhi nahiN
 

6.   har taraf har jagah beshumaar aadmee
     phir bhi tanhaaiyoN ka shikaar aadmee
     subah se shaam tak bojh Dhotaa hua
     apanee hi laash ka khud mazaaR aadmee
     har taraf bhaagate dauDate raaste
     har taraf aadmee ka shikaar aadmee
     roz jeetaa huA roz martaa hua
     har naye din nayaa intezaar aadmee
     zindagee kA muqaddar safar dar safar
     aakhree saaNs tak beqaraar aadmee
 
 

7.   aankh se door na ho dil se utar jaayega
     waqt ka kya hai guzarta hai guzar jayega
     itna manoos na ho khilwat-e-gham se apni
     tu kabhi khud ko bhi dekhega to dar jayega
     tum sar-e-raah-e-wafa dekhte reh jaoge
     aur woh baam-e-rifaqat se utar jayega
     zindagi teri ata hai to yeh jaane wala
     teri bakhshish teri dahleez pe dhar jayega
 
Volume II
 
8.   meri tasveer meiN rang aur kisi ka to nahiN
     gher le muJhko sab aaNkheN maiN tamasha to nahiN
     zindagi tuJhse se har ik saaNs pe samJhauta karooN
     shauK jeene ka hai muJhko magar itna to nahiN
     rooh ko dard mila dard ko aaNkheN na mili
     tuJhko mehsoos kiya hai tuJhse dekha to nahiN
     soNchte soNchte dil dooBne lagta hai mera
     zehaN kee tay meiN 'muzaffar' koi dariya to nahiN
 

9.   mausam ko ishaaroN se bula kyoon nahiN lete
     rooThaa hai agar wo to manaa kyooN naheeN lete
     deewaana tumhaaraa koI gair naheeN
     machalaa bhI to seene se lagaa kyooN naheeN lete
     khat likhkar kabhI aur kabhI khat ko jalaakar
     tanhaaee ko raNgeen bana kyooN naheeN lete
     tum jaag rahe ho muJhako achchhaa naheeN lagtaa
     chupake se merI neeNd churaa kyooN naheeN lete
 

10.  jo bhee bura bhala hai allah janta hai
     bande ke dil meiN kya hai allah janta hai
     yeh farsh-o-arsh kya hai allah janta hai
     pardoN meiN kya chhupa hai allah janta hai
     jaakar jahaan se koi wapas nahiN hai aata
     woh kaunsi jagah hai allah janta hai
     neki-badi ko apnee kitna hi tu chupaaye
     allah ko sab pata hai allah janta hai
     ye dhoop-chaoN dekho ye subah-shaam dekho
     sab kyoon ye ho raha hai allah janta hai
     kismat ke naam ko to sab jaante haiN lekin
     kismat meiN kya likha hai allah janta hai
 

11.  dhoop meiN niklO ghaTaaOn meiN naha kar dekho
     zindagee kya hai kitaaboN ko haTaakar dekho
     wo sitaaraa chamakane do yooNhee aaNkhoN meiN
     kya zarooree hai us'e jism banaakar dekho
     pattharoN meiN bhee zubaaN hotI hai dil hota hai
     apane ghar ke dar-o-deewaar sajaakar dekho
     faasilaa nazaroN kA dhokhaa bhee to ho saktaa hai
     wo mile yA nA mile haath baDhaakar dekho
 
 
12.  dhooaaN banake fizaaN meiN udaa diyaa muJhko
     maiN jal raha tha kisi ne bhJha diya muJhko
     khaDa hooN aaj bhi roTi ke chaar haRf liye
     sawaal ye hai kitaaboN ne kya diya muJhko
 
     safed sang kee chaadar lapeT kar muJhpar
     faseene shehar se kisi ne saja diya muJhko
     maiN ek zarra bulandi ko choone nikla thaa
     hawa ne tham ke zameeN par gira diya muJhko
   
 
13.  mili hawaoN meiN uDne ki wo saza yaaro
     ke maiN zameen ke risHton se kat gaya yaaro
     woh be-khayal musafir maiN raasta yaaro
     kahan tha bas mein mere usko rokna yaaro
     mere kalam pe zamane kee gard aisee thee
     ke apne baare mein kuch bhi na likh saka yaaro
     tamaam sheher hi jiskee talaash mein gum tha
     maiN uske ghar ka pata kis'se poochta yaaro
 
  
14.  tere jalwe ab muJhe harsoo nazar aane lage
     kaash yeh bhi ho ke muJh meiN tu nazar aane lage
     ibteda yeh thee ke dekhee thee khushi ki ek Jhalak
     inteha yeh hai ke gham harsoo nazar aane lage
     beqarari baDhte baDhte dil ki fitrat ban gayee
     shayed ab taskeen ka pehloo nazar aane lage
     khatM karde ae "Saba" ab shaam-e-gham ki daastaN
     dekh un aankhoN meiN bhee ansoo nazar aane lage
 
      Lyrics : Qateel Shifai      (1)
               Danish Aligarhi    (2)
               Shahid Kabir       (3)
               Ahmed Nadeem Qasmi (4)
               Sahir Bhopali      (5)
               Nida Fazli         (6 and 11)
               Ahmed Faraz        (7)
               Muzaffar Warsi     (8)
               Zafar Gorakhpuri   (9)
               Akhtar             (10)
               Nazeer Baqri       (12)
               Wasim Barelvi      (13)
               Saba Afghani       (14)
      Music  : Jagjit Singh
      Voices : Jagjit Singh    (2,3,4,6,9,10,11 and 13)
                   Lata Mangeshkar (1,3,5,6,7,8,10,12 and 14)

Chitra and Jagjit Singh