www.hariprasanth.com

Unforgetable Hits of Jagjit and Chitra
Home
Ghazal

Unforgetable Hits of Jagjit and Chitra

 
1.   bahut pehle se un qadmon ki aahaT jaan letey hai
     tuJhe ae zindagi hum door se pehchaan letey haiN
     tabiyat apni ghabraati hai jab sunsaan raatoN meiN
     hum aise meiN teri yaadoN ki chaadar taaN lete haiN
     meri nazreN to aise qaafiroN ka jaan-o-imaaN hai
     nigaaheN milte hi jo jaam aur imaan lete haiN
     'firaq' aksar badal kar bhesh milta hai koi qaaTil
     kabhi hum jaan lete hiaN kabhi pehchaan lete haiN

2.   raat bhi neend bhi kahaani bhee
     haaye kya cheez hai jawaani bhee
     dil ke sholoN se paDti hai sehra
     zindagi aag bhee hai paani bhee
     khaRk kya kya muJhe nahiN kehti
     kuch sunooN maiN teri zubaani bhee
     paas rehna kisi ka raat ki raat
     mehmaani bhee mezbaani bhee

3.   yeh mojeza bhi mohabbat kabhi dikhaaye muJhe
     ke sang tuJhpe gire aur zakhm aaye muJhe
     wo meharbaaN hai tho ikraar kyooN nahiN kartha
     wo badgumaaN hai tho sau baar aazmaaye muJhe
     wo mera dost hai saare jahaaN ko hai maaloom
     daga kare wo kisi se tho sharm aaye muJhe
     maiN apni zaat meiN neelam ho raha hooN 'qateel'
     gham-e-hayaat se keh do khareed laaye muJhe
 

4.   kisi ranjish ko hawa do ke maiN zinda hooN abhi
     muJhko ehsaas dila do ke maiN zinda hooN abhi
     mere rukne se meri saaNse bhi ruk jaayengi
     faasile aur baDha do ke maiN zinda hooN abhi
     zehar peene ki to aadat thi zamaane waaloN
     ab koi aur dawa do ke maiN zinda hooN abhi
     chalti raahoN meiN yooNhi aaNkh lagi hai 'faakir'
     bheeD logoN ki hata do ke maiN zinda hooN abhi
 
5.   aaye haiN samjhaane log
     haiN kitne deewane log
     dair-o-haram meiN chain jo miltha
     kyoN jaathe maikhaane log
     jaan ke sab kuch, kuch bhi na jaane
     haiN kitne anjaane log
     waqt pe kaam nahiN aathe haiN
     ye jaane pehchaane log
     ab jab mujh ko hosh nahiN haiN
     aaye haiN samjhaane log
 
6.   kabhi guncha kabhi shola kabhi shabnam kee tarah
     log milte haiN badalte huye mausam kee tarah
     mere mehboob mere pyaar ko ilzaam na de
     hiJr meiN eed manaayee hai moharrum ki tarah
     maine khushboo kee tarah tuJhko kiya hai mehsoos
     dil ne chheDa hai teri yaad ko shabnam ki tarah
     kaise ham-dard ho tum kaisee masihaayee hai
     dil pe nashtar bhi lagaate ho to marham ki tarah
 
7.   dard badhkar fughan na ho jaaye
     ye zameeN aasmaaN na ho jaaye
     dil meiN dooba hua jo nashtar hai
     mere dil ki zubaaN na ho jaaye
     dil ko le leejiye jo lena hai
     fir ye sauda garaN na ho jaaye
     aah kije magar latif tabhi
     lab tak aakar dhuaaN na ho jaaye
 
8.   jawan hain raat sakiya sharaab la sharaab la
     zara si pyaas to bhuja sharaab la sharaab la 
     tere shabab par sada karam rahey bahaar ka
     tujhay lage meri dua sharaab la sharaab la 
     yahaN koi na jee saka na jee sakega hosh mein
     mitaa dey naam hosh ka sharaab la sharaab la
     tera baDa hi shukriya pilaaye ja pilaaye ja
     na zikr kar hisaab ka sharaab la sharaab la
 
9.   ek na ek shamma andhere mein jalaye rakhiye
     subaH hone ko hai maahOl sajaaye rakhiye
     jinke haathoN se hume zakm-e-neha pahunchi hai
     wo bhee kehte hain ke zakhmoN ko chupaaye rakhiye
     kaun jaane ke wo kis raah-guzar se guzre
     har guzar raah ko phooloN se sajaaye rakhiye
     daaman-e-yaar ki zeenat na bane har ansoo
     apni palkon ke liye kuch to bachaaye rakhiye
 
10.  tumne sooli pe latakte jise dekha hoga
     waqt aayega wahi shaksh maseeha hoga
     khwaab dekha thaa ke sehra meiN basera hoga
     kyaa khabar thi ke yahi khwaab to sachcha hoga
     maiN fizaaoN meiN bikhar jaaoonga khushboo bankar
     rang hoga na badan hoga na chehra hoga
 
11.  manzil na de charaag na de hauslaa to de
     tinke ka hi sahee tu magar aasraa to de
     maiNe ye kab kaha ke mere haq meiN ho jawaab
     lekin khamosh kyooN hai tu koi faislaa to de
     barsoN maiN tere naam pe khaata raha fareb
     mere khuda kahaN hai tu apna pata to de
     beshaq mere naseeb pe rakh apnaa ikhtiyaar
     lekin mere naseeb meiN kya hai bata to de
 
12.  kabhi to khul ke baras ab ke meherbaaN ki taraH
     mera wazood hai jalte huye makaN kee taraH
     main ik khwaab sahee aapki amaanat hooN
     muJhe sambhaaL ke rakhiyegaa jism-o-jaaN ki taraH
     kabhi to soch ke wo saKsh kis kadar tha buland
     jo bichh gaya tere kadmoN meiN aasmaaN ki taraH
     bula rahaa hai muJhe fir kisi badan ka basanth
     guzar na jaaye ye ruth bhi kahiN khizaaN ki taraH
 
13.  ae khuda ret ke sehra ko samandar kar de
     ya chhalakti aanKhoN ko bhi patthar kar de
     tuJhko dekha nahiN mehsoos kiya hai maine
     aa kisi din mere ehsaas ka paikar kar de
     aur kuch bhi muJhe darkaar nahiN hai lekin
     meri chaadar mere pairoN ke baraabar kar de
 

14.  ye to nahiN ke gam nahiN
     haaN meri aaNkh nam nahiN
     tum bhi to tum nahiN ho aaj
     hum bhi to aaj hum nahiN
     ab na khushi kee hai khushi
     gam ka bhi ab to gam nahiN
     maut agar che-maut hai
     maut se zeest kam nahiN
 
15.  tere khushboo meiN basay khat main jalata kaisay
     pyaar mein doobay huye khat main jalata kaisay
     teray haathoN ke likhay khat main jalata kaisay
     jinko duniya ki nigaahoN say chupayey rakha
     jinko ik umar kalayjay say lagayay rakha
     deen jinko jinhay imaan banaay rakha
     jinka har lafz mujhay yaad paani ki tarah
     yaad they mujko jo paigaam-e-zubaani ki tarah
     mujko jo pyaarey they anmol nishani ki tarah
     toone duniya ki nigaahoN say jo bach kar likhay
     saal-ha-saal mere naam barabar likhay
     kabhi din mein to kabhi raat ko uTh kar likhay
     teray khat aaj main Ganga mein baha aaya hooN
     aag behtay huye paani meiN laga aaya hooN
 
16.  hum hi mein thee na koi baat, yaad hi na tumko aa sake
     tumnay hameiN bhula diya hum na tumhe bhula sake
     tum hi na sun sake agar kissa-e-gham sunega kaun
     kis ki zubaan khulegi phir hum na agar suna sake
     shauk-e-visaal hain yahaN lab pe sawaal hai yahaN
     kis ki majaal hai yahaN hum se nazar mila sake

      Lyrics : Firaq Gorakhputi     (1,2,14)
                  Qateel Shifai        (3)
                  Sudarshan Fakir      (4)
                  Kunwar Mahendra Singh  (5)
                  Rana Sahri           (6,11)
                  Jigar Moradabadi     (7)
                  Aariq Badayani       (9)
                  Sahir Hoshiarpuri    (10)
                  Prem Warbartni       (12)
                  Shahid Meer          (13)
      Music  : Jagjit Singh
      Voices : Jagjit Singh
                  Chitra Singh

Chitra and Jagjit Singh