Rishton Mein Daraar Aayee
1. rishtoN mein darar aaye
bete na rahe bete
bhai na rahe bhai
rishtoN mein darar aaye
parkha hai lahu apna, bharata hai zamane ko
tufano mein koi bhi,
aaya na bachane ko
sahil pe nazar aayee
kitane hi tamasai
DhoonDane se nahi milta, raahat ka jahan koi
TooTe huwe damo ko,
le jaye kahaN koi
har moD pe hoti hai
ehsaas ki rusvaai
zakhmoN se khili kaliyaN, ashkoN se khili shabnam
patthar ke daricHe
se, aaya hai naya mausam
raaton ki siyali se
li subho ne angadai
2. fir se mausam baharoN ka aane ko hai
fir se rangiN zamana badal jaayega
abki bazme charaagoN saja lenge hum
ye bhi armaan dil ka nikal jaayega
aap karde jo muJhko nigaahe karam
meri ulfat ka reh jaayega kuch bharam
yuN fasana to mera rahega yahi
sirF unwaan uska badal jaayega
fiki fiki see kyoon shaam-e-maikhanaa hai
lutf saaqi bhi kam khaali paimaana hai
apnee nazroN se hee kuch pila de jiye
rang mehfil ka khud hee badal jaayega
mere miTne ka unkO zara gam nahiN
julF bhi unki ae dosth war ham nahiN
apne hone na hone se hotha hai kya
kaam duniya ka yun hee to chal jaayega
aapne dil jo 'zaahid' ka toDa to kya
aapne uski duniya ko choDa to kya
aap itne to aakHir pareshaaN na hoN
wo sambhalte sambhalte sambhal jaayega
3. kuchh na kuchh to zaroor hona hai
saamna aaj unsay hona hai
todo fainko rakho karo kuch bhi
dil hamara hai kya khilona hai
zindagi aur maut ka matlab
tumko paana hai tumko khona hai
ttna darna bhi kya hai duniya say
jo bhi hona hai woh to hona hai
uth kay mehfil say mat chalay jaana
tumsay roshan yeh kona kona hai
4. kabhi kabhi yun bhi humne apne jee ko behlaaya hai
jin baatoN ko khud nahiN samjhe auroN ko samjhaaya hai
humse poochO izzatwaaloN kee izzat ka haal yahaN
humne bhi is shehar meiN rehkar thoDa naam kamaya hai
us'se bichchDe barsoN beete lekin aaj na jaane
kyoon
aangan meiN haste bachchoN ko bekaaroN dhamkaaya hai
koi mila tho haath milaaya kahiN gaye to baate
kee
ghar se baahar jab bhi nikle din bhar boJh uThaya hai
5. dard-e-dil meiN kamee na ho jaaye
dosthi dushmani na ho jaaye
tum meri dosthi ka dam na bharo
aasmaaN muddayee na ho jaaye
baiThata hoon hamesha rindoN meiN
kahiN zaahid wali na ho jaaye
apne khooye wafa se Darta hoon
aashiqi bandagi na ho jaaye
6. koi dosth hai na raqeeb hai
tera sehar kitnaa ajeeb hai
wo jo ishq thaa wo junoon thaa
ye jo hiZr hai ye naseeb hai
yahaN kiska chehra paDha karooN
yahaN kaun itnaa kareeb hai
maiN kise kahooN mere saath chal
yahan sab ke sar pe saleeb hai
7. sar jhUkaaoge to patthar dewta ho jaayega
itna math chaaho use' wo bewafa ho jaayega
hum bhi dariya haiN hameN apnaa hunar maaloom
hai
jis taraF bhi chal paDenge raasta ho jaayega
maiN khuda ka naam lekar pee raha hoon dostoN
zehar bhi isme agar hoga dawa ho jaayega
ruTh jaana to mohabbat ki alamat hai magar
kya khabar thee muJhse wo itna khafa ho jaayega
8. kaun aayega yahan koi na aaya hoga
mera darwaaza hawaaoN ne hilaaya hoga
dil-e-naadaaN na dhaDak ae dil-e-naadaaN na dhaDak
koi khat leke paDosi ke ghar aaya hoga
gul se lipTi huyee titli ko girakar dekho
aandhiyoN tumne daraftoN ko giraaya hoga
'kaif' pardesh meiN math yaad karo apna makaaN
abke baarish ne use toD giraaya hoga
Lyrics : Naqsh Lyallpuri
(1)
Zahid
(2)
Wajida Tabassum
(3)
Nida Fazli
(4)
Bekhud Dehlvi
(5)
Rana sahri
(6)
Bashir Badr
(7)
Kaif Bhopali
(8)
Music : Jagjit Singh
Voices : Jagjit Singh