Adaa
1. dono.n ke dil hai
2. jab kisii se ko_ii gilaa rakhanaa: Nida Fazli
jab kisii se koii gilaa rakhanaa
saamane apane aaiinaa rakhanaa
yuu.N ujaalo.n se vaastaa rakhanaa
shammaa ke paas hii havaa rakhanaa
ghar kii taamiir chaahe jaisii ho
is me.n rone kii jagah rakhanaa
masjide.n hai.n namaaziiyo.n ke liye
apane ghar me.n kahii.n Khudaa rakhanaa
milanaa-jhulanaa jahaa.N zaruurii ho
milane-jhulane kaa hausalaa rakhanaa
3. mai.n nasiib huu.N
4. mai.n kaise kahuu.N jaaneman
5. kahe ab ki ai bahaar
6. yaa to miT jaayiye yaa miTaa diijiye: Wajida Tabassum
yaa to miT jaaiiye yaa miTaa diijiye
kiijiye jo bhii saudaa kharaa
kiijiye
ab jafaa kiijiye yaa vafaa kiijiye
aaKhirii vaqt hai bas duaa kiijiye
apanii chehare se zulfe.n haTaa diijiye
aur phir chaa.Nd kaa saamanaa
kiijiye
har taraf phuul hii phuul khil jaaye.nge
aap aise hii ha.Nsate rahaa
kiijiye
aap kii ye ha.Nsii jaise ghuu.ngruu baje
aur qayaamat hai kyaa ye bataa
diijiye
7. are tuu pavan basantii
8. ham dostii ehasaan vafaa bhuul gaye hai.n :Payaam Saeedi
ham dostii ehasaan vafaa bhuul gaye hai.n
zi.ndaa to hai.n jiine kii
adaa bhuul gaye hai.n
Khushbuu jo luTaate hai.n masalate hai.n usii ko
ehasaas kaa badalaa
ye milataa hai kalii ko
ehasaas to lete hai.n silaa bhuul gaye hai.n
karate hai.n muhabbat kaa aur ehasaas kaa saudaa
matalab ke liye karate
hai.n iimaan kaa saudaa
Dar maut kaa aur Khauf-e-Khudaa bhuul gaye hai.n
ab mom me.n Dhalakar ko_ii patthar nahii.n hotaa
ab ko_ii bhii qurbaan
kisii par nahii.n hotaa
kyuu.N bhaTake hai.n manzil kaa pataa bhuul gaye hai.n
9. tum saaz chhe.Do
10. kisii nuu ko_ii pyaar na kare (Punjabi)
Voices: Jagjit Singh
Chitra Singh